Dekh liya Zindagi ko khelte Aur Zindagi se khelte,

Ab thak Gaye hain,Bas karte hain..

Sookh Gaye hain nazro ke madmaate jaam,

Aansuon ki lehrein bhi kahein, Bas karte hain..

Ab hanseen nahi aati ,na bol he kuch phoot te hain,

Banjar honth bhi bole,Bas karte hain..

Kadmo ki khanak ab behre kaano ke liye hain,

Toote ghungruon ki aah hai,Bas karte hain..

Naa rang hai na Roop hai,Bas kaalikh hai Aur dhoop hai..

Jalti parchhaayiyan roti hain,Bas karte hain..

Jin saayo ko zulfon mein kaid kiye phirte the

Un bikhri laton ki bheekh hai,Bas karte hain...

Maut ka aanchal thaam ke zindagi ko bhool jaana hai,

Ab woh kabr bhi bole aa jaao,Ab Bas karte hain...


Shruti Gaur.......