Parchhayiyan si chalti hain dhundh ke saaye mein,

Kuch dikhe na par saansein sunaayi deti hain.

Kuch kilkaariyan, kuch waade, kuch kadwi baatein,

Kuch aansun mein doobe toote sapne,

Neend se door, khwaabo se pare,

Shaakh se toote kuch patto se hare,

Dard toh hota hoga kohre sa gehra

Kuch sune na sune, siskiyan sunaayi deti hain.


Dhoondti hain awaazein un kaano ki god,

Jo sunke bhi unsuna na kar de,

Warna bante hain woh bhi behro ke shaayar,

Awaaz kare oonchi aur se ho kaayar,

Thandi hawa si chhuan,chubhti si baatein

Kuch Dikhe na dikhe, daraarein dikhaayi deti hain.


Main ek din sabse mud jaaungi aise,

Jaise kabhi yahan ki thi he nahi, 

Udte patte si titar bitar si, lapto ki khoj mein,

Yahan se wahan, kaanton mein uljhi,

Neeyat se baaz, baaton se suljhi,

Apni phir baat bhi na hogi kabhi,

Kuch mile na mile, yaadein bidaayi deti hain.


Shruti Gaur......